Kyon koi chah kar mohobbat nibha nahi pata Kyon koi chah kar rishta bana nahi pata Kyon leti hai zindagi aisi karwat Ki koi chah kar bhi pyar jata nahi pata
************************************************
Iss shab ki sehar mein kuchh dushwari hai palkein hain khuli-ye raat aaj bhaari hai aana aana kar ke bhi nahi aaye wo aankhon mein hai nami-dil mein ajab bekarari hai Wafayein bhul gaye wo shayad kisi gair ki khatir luta jahaan apna-yeh shayad kismat hamaari hai Hamney to unki har baat ka ehtraam kiya ilzaam phir bhi ham par-ye to sarasar vadakhawari hai Dard-e-dil, zakham-e-zigar hain sogatein pyar ki aashiq chahe jaaye kahin, baazi har haal usney haari hai
************************************************
Tanhayion ka sathi sunee raahon ka hamsfar Andheri raaton main jab saaye hi daraayenge mujhe apne hi khayaalaat jab aa aa kar satayenge mujhe chiraag ik jalaane wala Zindagi ke sannate main jab naa sunega koi dard ki aawaz mere maayus geeton pe jab cheekh kar royega har saaz do aansu bahane wala mera koi hoga kabhi hai yakin iss dil ko ab bhi
************************************************
Ai Khuda Aaj Ye Faisla Karde Bahut Dukh Sahe Hai Maine Bahot Muskil Lagta Hai Us se Duur Rehna Judai Ke Safar Ko Kum Karde Jitna Duur Chale Gaye Woh MujhseUtna Dur Mujhe Bhi Usse Kar De
************************************************
Pyar kiya tha dil ne par use bas iski saja mili Kyu woh ruth kar chali gayi iski na koi wajah mili Pyar chhin gaya humse jaise ho din mein kaali raat Aur sahil pe hi doob gayi apni kashti kuch aisi hui barsaat
************************************************
Dariya wafao ka kabhi rukta nahi Mohabbat me insaan kabhi jukta nahi Hum chup hai kisi ki khushi ke liye aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi
************************************************
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi Wafa kar lo chahe jitni Bewafai hi milegi Jitna marzi kisi ko apna bana lo Jab ankh khulegi Tanhai hi milegi
************************************************
Khushi ke geet kyoun badnseeb ho gaye aap kyoun gairon ke itne kareeb ho gaye mohabat ke sahaare hi sambhale the hum bana ke fakir, kyoun kisi ki takdeer ho gaye
************************************************
Pyar ke naam se aaj nafrat to nahi mohabbat se magar itni mohabat bhi nahi hai wafaon se bhara dil phir bhi garib ho gaye Dil mein na sahi yaadon mein to rahenge sapne tode magar khayalon main to rahenge raaton ki bechaniyaan, aur ashq mere naseeb ho gaye
************************************************
Har shaam kabhi teri zulfon mein guzar hoti thi har shaam aa ke dekho mere dil pe kya guzarti hai
0 comments:
Post a Comment
Please Share Your Valuable Feedback For Us