Taras Gaye Thodi si Wafa ke Liye kisi Se Pyar Nhi Karenge khuda ke Liye Qki jab lagti Hai Ishq ki Adalat Ham hi Chune Jate Hai Saja ke Liye
************************************************
Wo bewafa mera imthihan kya legi Milegi nazar to nazar jhuka legi Usse meri kabr par diya mat janalane dena yaro Wo naadan hai apna hath jala legi
************************************************
Na jane kyu Dil me khayal ata hai Na jane kyu Dil jala ke chala jata hai Na jane hamse kya khata hui ki jo hamare Dil me ata hai wohi Dil Tod ke chala jata hai
************************************************
kya hua jo wo bhul gaye hame kya hua jo wo tadapte nahi hamari yaad me kya hua jo kadr nahi hamari na tere jaane ka dukh hai na teri bewafai ka khumar hai ham to ji lete hai khusi se ke hamare dil me tere liye chahat beshumaar hai
************************************************
Pyar kisi se jitna kiya ruswai hi mili Wafa chahe jitni bhi ki bewafai hi mili Jitna bhi kisi ko apna bana kar dekha Jab aankh khuli to tanhai hi mili
************************************************
Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya Hum To Samjhe The Ke Hum Bhool Gaye Hain Un Ko Kya Hua Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya Kis Liye Jeete Hai Hum Kis K Liye Marte Hai Baar Baar Aise Sawalaat Pe Rona Aaya Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Khatir Ay Dost Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya
************************************************
Tanha hu tanha rehne de Is kadar phir mujhe pyaar na kar In Zakhmo ko hara rehne de marham laga ke inhe barbaad na kar Teri Aankho ke zantar mantar se bahar nikalna hai mujhe Yu nazare mila ke mujhe gumraah na kar Teri meri yaado ka gulistaa ab murjha gaya hai mujhe hichkiya dila ke ise gulzaar na kar Barbaad hua hai mere dil ka shehar teri hi chahat me Yu muskura ke isse aabaad na kar Akela hi kata tha meri zindagi ka safar Mere saath reh ke meri aadat kharaab na kar Uske darbaar me haq ka sabko mila hai Usse koi aisi waisi fariyaad na kar
************************************************
Ham to bewafa se bhi wafa nibhate hai unhe sahara dekar khud besahara ho jaate hai ab ye baat samajh me aayi hai pyar ka duja naam hi bewafai hai log to yun hi aap ko badnam kiya karte hai
************************************************
Unhe alvida keh rahe the ham toh rote-rote khuch khas nahi yaaro unki kashti paar laga rahe the ham apni kashti dubo ke
************************************************
Aap ke paas hamare liye waqt na tha shayad masroof hogi kuch khas logo ke sath jab aapko jamaane bhar ki khushiya di hamne hame zindagi bhar ki tanhai mili aapki kuch hasin yaado ke sath
0 comments:
Post a Comment
Please Share Your Valuable Feedback For Us