Sawaar ho jaaye jab junoon sar par ki kuch paanaa hai reh jaayega phir kya duniyaa mein jo haath nahi aanaa hai
************************************************
Zanzeerein mushkilon ki pighal jaayengi bas aag iraadon ki jalne deeje Taare zameen par aa ke haath milaayenge khayaalon ki udaan ko bas zameen deeje Chiraag inn raahon ke manzil tak le jaayenge ik ik kar har kaanta jo alag kije Suraj bhi din tera ik din chamkaayega chaand ka aaj andhere mein mazza lije
************************************************
Waqt par, waqt hi badlega ye tera bura waqt jo gar samjhe,to na raha hai na rahega sada ye bura waqt
************************************************
Saath bitaaye inn lamhon ki yaad bahut aayegi tanhaayi ke phir har pal mein ik tasveer ubhar aayegi khayaalon mein mere tufaan hoga bichadta hua woh jahaan hoga phir bhi kahin andheron mein ik kiran si dikh jayegi himmat haarna to gunaah hoga jo ruk gaya woh fana hoga chalte chalte phir in rahon par manzil khud hi saamne aayegi
************************************************
Dil ki umangon ke pankh lagakar khule akash me udna chahti hu Lehron ki sawaari kar sahil ko apna banana chahti hu Aey Khuda! Himmat de mujhe ladne ki itna aasan nahi mera safar kyoki Mai patthar ko mom aur mom ko patthar banana chahti hu
************************************************
Mehnat, lagan aur himmat se apni Har mushkil se paar pana hai Sitaaron ki zamin banana hai ek din Mera khwabon me bahut bada aashiyana hai
************************************************
Kuch Lafzon Ko Tol-Mol Kar Bataaya Nahi Jaata Har Ek Ko Apne Dil Ka Haal Sunaya Nahi Jaata Hum Jo Likhte Hai Woh Humare Jazbaat Hai Auron Ke Liye Isse Kahani Ka Roop Banaya Nahi Jaata
************************************************
Jao us raste pe, jispe khai na ho Jao us raste pe, jispe khai na ho Aur pyar karo to aisi ladki se jiska koi bhai na ho
************************************************
Ai Khuda tu meri aakhri dua to sunle is dard ko apna bana ke to dekh le tujhe pata chalega Insan ke dil me kitna hai dard bas tu ek bar Insan ban ke dekh le
************************************************
Jab dard puraana hota hai Khud aap davaa ban jaata hai Vyavahaar paraaya bhee unka Fir ek adaa ban jaata hai Na ghabaraa dil tanhaai se Na sitam se na rusawaai se Are mitate-mitate to banda Ek roz Khuda ban jaata hai
0 comments:
Post a Comment
Please Share Your Valuable Feedback For Us