nikalte hain jab tumhare aansu dil karta hai saari duniya jalla du phir sochti hu ,honge tumhare bi apne kahi tumhe phirse rula na du……….
************************************************
Har umar ka rasta humwar nahi hota har saaya madadgar nahi hota majbooriya ho to aur baat hai warna janam se koi gunahgar nahi hota
************************************************
Har hawa ka jhoka toofan nahi hota har aadmi insaan nahi hota pathar to har mod pe milta hai lekin har pathar bhagwan nahi hota.
************************************************
Dosti humari aap kbhi bhulana nahi, Humse kabhi bhi apna koi gam chupana nahi, Har waqt hume apne paas payoge, Yaado ka deepak kabhi bhujana nhi, Ladenge, jagdenge apko rulayenge bhi, roothoge to apko manayenge bhi, udaas rahoge to apko hasayenge bhi, kuch bhi ho lakin ye dosti ka rishta kabi thukrana nahi.
************************************************
mast riwajo pe sakht pehra n jane dil konsi umid pe thahra aankhon se chalakte hue asko ki kasam gum ka rista dil me bahut he gahara.
************************************************
wo hume is kadar bhaye ki hum mohabbat kar bethe, kaha to tha wo bhi hume pyar hai, par ye to such hai ki hum apna chaino sukun gawan bethe. kiye jo milkar mohabbat mei vade wo ek pal mein bhula bethe. Uske vado par karke bharosa hum to apna sub kuch luta bethe. Aur kya btayu yaaro me to uski mohabbat mei is kadar hua pagal ki bina soche apne hatho se apni hasti mita betha. Khelna hi tha mere dil se to naam-e-ishq badnaam kyu kiya
************************************************
Bardaasht karte karte ab sabr toot gaya, is sab kahasuni mein lagta hai kuch peeche choot gaya.. apni gairat tak kho chuke hain hum, na jaane zindagi abhi aur kya dhikhayegi rang.. sambhala tha apne jis vajood ko ta umr humne, aaj aaine mein bhi uski pehchaan hoti hai mushkil mein.
************************************************
bhid me koi apna sa ham dhundte hain jaisee tapti dhup me shabnum ham dhundte hain dewangi me aksar unhe dhunda kiye hosh me aakar unhe kam dhundte hai ab tak jo muskurahat sikhata raha usi k hontho pe tbsum ab ham dhundte hai odhe rakha hai chehre pe hamne khushiyo ka saya? dhundne wale chehre pe matam dhundte hain ek wo hai jinhe gehre baithi hain khushiyan sari or ek ham hain…jinhe jamane ke sare gam dhundte hain….
************************************************
Wafa ki rahon ko aasan samajh liya kantoon ki wadi ko gulistan samajh liya hum ise aashiqui kahen ya saadgi katil ko apna maharbaan samajh liya …….
************************************************
saamne reh kar vo mere mujhko zakhm ese deta hai jaise usko pyaar karne ki saza vo mujhko deta hai jaane kitni baar kaha humko aaj bhi tumse pyaar hai badlunga na mai kabhi dil se karta vo iqraar hai hum bhi kitne naadan the jo yakeen uska kar liya kitna paak tha pyaar mera vo sara usi se kar liya? kaise keh du mai usko kuch,jo kabhi sirf mera imaan tha begunaah hai vo shayad in paak rishto se anjaan tha kuch bhi kehna nahi chahte us se mgr halaat mazbur kar dete hai na chah kar bhi vo har pal ik nya zakham mujhko dete hai na samajh sake vo mera pyaar na samjhi meri dosti khud ko jala kar bhi humne deni chaahi usko roshni kuch bhi ho is dil ko unse pyaar hai gum nahi dungi khushiya is baat ka iqraar hai……
0 comments:
Post a Comment
Please Share Your Valuable Feedback For Us