Chand ko maine asman ki gaod me sote dekha, Chand ki bewafai se maine lakhon taron ko rote dekha, Us pal ne to mujhe bhi rula diya, Jab maine in aankhon se tujhe kisi aur ka hote dekha………
************************************************
Ajj is pyar ki dhimi Hawa ka rukh meri taraf hai, Lagta hai Apne mujhe dil se yadd kiya hai, Khuda kare yeh pyar ki Hawa dhimi hi chale, Nufrat ki tez hawa ne mera jaise lakho phulon ko Barbad kiya hai… Sath tera hai to sab kuch hai; Bin tere ye sab, kuch bhi nhi hai; Tu mere sath to ye jahan humara hai; Bin tere ye zindagi ye jahan mujhe nhi pyara hai.
************************************************
Phale waqt ki dor suljhane Me din pal me gujar jata tha, Ab khud ko suljhane me Mahine kitne beet gaye
************************************************
Gujarish hai ab hame Aajmana chhod do, Warna bachee jindgi Bhee kho jayegi imtahano me
************************************************
Har gulshan ko apna samjhne ki Bhul kar baithe hum, Aur umar beet gayi Unko sichne me…
************************************************
Unhe bhi hamse mohabbat hai kahan jante the ab tak; Rakhete the hum to man me narajgi unke liye ab tak; Unki wo pehli baat ne hi kiya tha ghayal mujhko is tarah; Liye firte hain unhe apna banana ki tamanna ab tak.
************************************************
Ek lamha bhi nahi hota dur hamse khayal unka; Har waqt dil me gunjta hai bas ek sawal unka; Na jane kyun nahi samajh pate hain wo majburi mere dil ki; Na mile agar wo to reh jayega dil me bas ek malal unka. Na jivan hai mera na maut hai meri, hamse to vafa ne bhi bevafai kar di hai; Na chehra hai mera na darpan hai mera, mere jism ne meri har saans parai kar di hai; Na phool hai mera na chaman hai mera, mere lavo ne har hansi ki vidai kar di hai; Na jashn hai mera na matam hai mera, mere dil ne meri dhadkan parai kar di hai.
************************************************
Hum unse pyar karte hai vo jaante hai Hum unpar marte hai vo jante hai Ke vo humse pyar karte hai hum nahi jante Ke vo humpar marte hai hum nahi jaante Hum to unpar jaan bhi nisar karte hai vo jaante hai
************************************************
Unko mere intjaar pe yakeen na tha; Meri najro me un jaisa koi haseen na tha; Mere ashq aur lahoo juda ho rahe the mujhse; Unke siva koi mera ja-nasheen bhi to na tha
************************************************
Hum to tanha the akele the kisi ki aas me; Chal kar dekha tha har rasta unki talash me; Hui achanak mulakat ek roj unse kaion ki bheed me; Gunjta hai unka naam ab meri aawaj me.
0 comments:
Post a Comment
Please Share Your Valuable Feedback For Us