Usne Kaha Mujhse Kitna Pyaar Hai Maine Kaha Sitaron Ka Koi Shumaar Hai? Usne Kaha Kaun Tumhe Hai Bahut Azeez Maine Kaha Dil Pe Jiska Ikhtiyaar Hai Usne Kaha Kaunsa Tohfa Hai Pasand? Maine Kaha Wo Shamaa Jo Ab Tak Udhaar Hai Usne Kaha Saath Kahan Tak Nibhaoge? Maine Kaha Jitni Ye Saanson Ki Taar Hai Usne Kaha Mujhko Yaqeen Aaye Kis Tarah? Maine Kaha Mera Naam Hi Aitbaar Hai..!
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mujhe yaad hai woh din jab main bhaage bhaage tumhaare paas aati thee tumhe bataane? ke suno aaj aisa hua ke. Aur tum hanskar Mere ehsaasaat se bekhabar Mujhse kehte "phir kabhi bataana abhi zara masroof hoon" mooh latkaaye chalee jaati thee par intezaar rehta tumhe bataane ka ke aaj aisa hua ke bewaqoof thee main aur itnee? yeh kabhi nahi socha ke tumhe kya? agar aaj aisa hua ke? aur jab aaj aisa hua ke main tumhaaree taraf mudee rokk liya maine apne aap ko samhbal gaee hoon ab main? shaayad? par phir bhi gham hai ke aaj aisa hua ke?
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mere dil ka dard kisne dekha hai mujhe bas khuda ne tadpte dekha hai hum tanhai mein baithe rote hain logon ne hamein mehfil me hanste dekha hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Iski ankhon mein mohabbat ka sitara hoga Ek din aaye ga woh shakhs hamara hoga Tum jahan mere liye sippian chunte hoge Wo kisi or hi duniya ka kinara hoga
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
na tha kuchh to khuda tha na hota kuchh to khuda hota aur sochta hoon kabhi-kabhi naa hota main to kya hota
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Phir na sanvaregi aye gar bikhar jaayegi Zindagi Zulf nahin hai jo sanvar jaayegi
0 comments:
Post a Comment
Please Share Your Valuable Feedback For Us