Zindagi mai ek sapna dekha, Jise ham haqiqat samajh baithe, Maine jise pyar kiya wo majak samajh baithe…
************************************************
Jisko samajti hun mai anjana sa chehra…. Jane mile kis mod wo pehchana sa chehra….. Wo khel rahe hai ya sach hai ye haqiqat…….. Koi mujhe bata de kya hai tera "chehra"
************************************************
Likho toa kuch aisa likho Ke kalam bhi rone pe majboor ho jaye Har lub mai woh dard paida karo Ke woh bhi tumhe pyaar karne per majboor ho jaye……..
************************************************
Jindagi ki Rah mai Bahut se Dost Milenge, Ham Kya Hamse Bhi Acchhe Hajar Milenge, Lekin In Acchhon Ke Bhid Mai Bhula Na Dena Hame, Kyu Ki Ham Tumhe Dubara Kaha Milenge.
************************************************
Dil kehta hai mohabat nahi qayamat hai ye, Phir dil ki deewar par tera chehra kyu hai ? Aur bhi zakham hai tere zakhmo ke siva, Tere hi zakham ka daag itna gehra kyu hai.
************************************************
Ab to har roj yahi soch ke ham uthte hai Tera chehra kahi ek bar najar aa jaye Aur har sabnam yahi soch ke ab sote hai tum dabe paw khayab me kahi chala aaye. Jis ghadi tujse pahli bar aankh takrayi aisa laga mujme jindagi aayi.
************************************************
Khushi ho ya ho gam , jayada ho ya kam Sab kuch sehna to padta hi hai Chahe sapne hakikat na ho paye Chahe zindagi mussibat ban jaaye Fir bhi iss jahan mein rehna to padta hi hai
************************************************
Wo bewafa na tha yuhi badnaam ho gaya Hazaro chahne wale thy kis kis se wafa karta
************************************************
Yaad Aye toa Ankhey band mat karna Hum chale bi jaye to gham mat karna Yeh zaruri nahi ki har rishtey ka koi naam ho Par pyar ka ehsaas apne dil se kam mat karna
************************************************
Hamne suna hai dard pyaar ka hissa hai, Par pyaar mai dard ye kitna hai ? Jo khatam hi nahi hota. Jitna isse bhulane ki koshish karu utna hi mujhe yaad aata, Na jane is pyaar mai dard hai kitna?
************************************************
Koi kyun kisi ko dard dekar muskurata hai, Shayad wo apne kiye par naaz khata hai, Hum ye sochkar chup rahte hai ki kam se kam wo hame dard dekar khush toa ho jate hai, Aur wo dard pe dard diye jate hai.
0 comments:
Post a Comment
Please Share Your Valuable Feedback For Us