Ad (728x90)

Sunday, 20 March 2016

Sad Shayri Page 70

Sad Shayri Page 70


************************************************


Ek khoobsoorat dhokha hai ishq yaaro,
Hai har mohobbat ek jhoot yaaro,
Jitni khoobsoorat ho sajan utni gehri hai wo bewafaai yaaro,
Na yakin ho, to mere mehboob ki tasveer hi dekhlo yaaro…"

************************************************


Paas aakar yun hum tum dur kyon ho gaye
Pal bhar mein hi khayal kyon tinko mein bikhar gaye
Teri mauzudgi ka ehsaas ab tanhayee main hota hai
Jab aankon se teri yaad paani bankar nikalti hai

************************************************


Mere Honton ke mehaktay hue naghmon par na ja,
Mere seenay main kai aur bhi gam paltey hain,
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar,
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain.

************************************************


zindagi ek chahat ka silsila hai,
koi milgaya to koi bichad gaya,
jinhein maanga tha humne duaoon mein,
wo kisi aur ko bin maange hi milgaya……


************************************************


Unke chehre pe is kadar noor hai
k unki yaad mein rona bhi manzoor hai
bewafa bhi nahin keh sakte unko
pyaar to humne kiya, wo to bekasoor hai-Hassan


************************************************


Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya
main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya



************************************************


Hale dil apna unhe sunate hain
Aur Vo muskurakar dil jalate hain
Kal tak jo kehte thi ki hum phool khilayenge
Aaj apne haaton se chaman jalate hain


************************************************


Din bhar soch mein doobon raaton ko chain nahin
Kaise keh doon dil mein ab koi nahin
Door tu hai par mohabbat tere liye kam nahin
Duniya kya samjhe bewafaa tu hai hum nahin


************************************************


Chaand se puchho ya mere dil se,
Tanha kaise raat bitayee jaati hai…
Ghaat-ghaat par phirne wale kya jaane,
Shabnam se bhi pyaas bujhayee jaati hai…..


************************************************


Dil ko adat si ho gayi hai chot khane ki
Bhingi palkon ke sang muskurane ki
Kash anjaam hum pehle se jaan jaate
To koshish na karte dil lagane ki


************************************************


0 comments:

Post a Comment

Please Share Your Valuable Feedback For Us

 

Subscribe to our Newsletter

Contact our Support

Email us: Support@templateism.com

Our Team Memebers